Friday, August 31, 2012

anant kee kavita



vah jo jeevan hai
hai vahi mrityu bhee
badal sakta hai vah
chhal sakta hai vah
bhay uskee kreeda ka
smriti jagaa kar uskee
kar deta nirbhay
ashwast

aghoshit rehta hai
ghoshit hokar bhee vah ek

jiske hone mein
nimmajjit man
aman ho jaata hai

use gaane kee aaturta
jab chhalchhalaatee hai
saanson mein anant kee kavita
utar aatee hai


Ashok Vyas
New York
(Panktiyan Rakeshji ke saath
email samvaad mein aaeen
aap sabke saath baantne kee prerna ho gayee
jyon kee tyon dhar deene chadariya- mangal kaamnaon sahit)
31 Aug 2012 
New York

3 comments:

Shalini kaushik said...

bilkul sahi kaha ashok ji aapne jeevan mrityu ke vishay me sarahniy vichar कैराना उपयुक्त स्थान :जनपद न्यायाधीश शामली :

प्रवीण पाण्डेय said...

अनन्त में छिपा जीवन का रूप। अंग्रेजी में पढ़ने में बहुत अधिक श्रम हो गया।

महेन्द्र श्रीवास्तव said...

बहुत सुंदर
क्या बात

सुंदर मौन की गाथा

   है कुछ बात दिखती नहीं जो  पर करती है असर  ऐसी की जो दीखता है  इसी से होता मुखर  है कुछ बात जिसे बनाने  बैठता दिन -...